safina rakhta hun darkar ek samundar hai hawaen kahti hain us par ek samundar hai main ek lahr hun apne makan mein aur phir hujum-e-kucha-o-bazar ek samundar hai ye mera dil hai mera aaina hai shahzadi aur aaine mein giraftar ek samundar hai kahan wo pairahan-e-surkh aur kahan wo badan ki aks-e-mah se bedar ek samundar hai ye intiha-e-masarrat ka shahr hai 'sarwat' yahan to har dar-o-diwar ek samundar hai