zindagi dil pe ajab sehr sa karti jae ek jagah thahri lage aur guzarti jae aansuon se koi aawaz ko nisbat na sahi bhigti jae to kuchh aur nikharti jae dekhte dekhte dhundla gae manzar sare teri zulfon ki tarah sham bikharti jae baat ka raaz khule baat ka andaz khule tere honton se chale dil mein utarti jae rafta rafta kisi gum-nam lahu ki tahrir qatil-e-shahr ke daman pe ubharti jae ho ke barbaad chale sehn-e-chaman se nikhat dasht-o-sahra ki magar jholiyan bharti jae main ne kab dawa-e-ilham kiya hai 'taban' likh diya karta hun jo dil pe guzarti jae