safina zist ka tufan se nikal aaya ki dil hai ishq ke haijaan se nikal aaya jab in ki zulfon ko sungha to andalib-e-khayal gulab o nargis o raihan se nikal aaya koi jo pyara lage rokta hun hile se hawala dekhiye quran se nikal aaya suna to hoga ye qissa janab-e-yusuf ka piyala bhai ke saman se nikal aaya har aane wala ye kahta hai mere aane se hamara des hai bohran se nikal aaya main jis ka puchhta phirta tha gul-faroshon se wo phul ghar ke hi dalan se nikal aaya tumhaare gham ki kahani suni to 'gilani' main apne haal-e-pareshan se nikal aaya