safir-e-sham subh ka naqib kaise ho gaya jo shab ko shab na likh saka adib kaise ho gaya abhi to khwab dekhne ki umr thi meri magar abhi se jagna mera nasib kaise ho gaya isi ki aab-o-khak se meri numud hai to phir mera watan mere liye ajib kaise ho gaya mere lahu se jis ke barg-o-bar mein bahaar hai wahi shajar mere liye salib kaise ho gaya meri zamin to sim-o-zar se qimti zamin hai magar ye mera mulk yun gharib kaise ho gaya