sag-e-jamal hun gardan se bandh kar le ja jamal-e-yar mujhe aaj sair par le ja tere labon ka tabassum bhi to raha hun kabhi bana hun ashk to palkon pe tank kar le ja samet kar mujhe rakh le ki tera dard hun main tera hi aib hun mujh ko chhupa ke ghar le ja khuba hua hai tera husn meri aankhon mein nikal kar meri aankhon se neshtar le ja main sang-dil hun to ek roz khana-e-dil mein lage hue hain jo patthar ukhad kar le ja bichhad raha hai to apni nishaniyan bhi samet ab apne sath hi ye ku-e-baam-o-dar le ja