saghar-e-dil kaif-o-masti se labaalab bhar gaya kis ka eajaz-e-nazar sarshaar o be-khud kar gaya un ke daman se hui kuchh is qadar wabastagi ghuncha-e-dil khil gaya phulon se daman bhar gaya hum taaqub bhi na kar pae kahan ki ham-rahi gard hi aai nazar jis rah se rahbar gaya be-khata hone pe bhi ilzam apne sar rahe kaun jaane jaur ka ilzam kis ke sar gaya khauf kuchh aisa badhaya zulmat-e-ehsas ne aur to aur aksar apne sae se dil dar gaya munhasir zauq-e-nazar par hai nazaron ki bisat jis taraf utthi nigahen us taraf manzar gaya us ke naqsh-o-aks ki parchhaiyan dekha kiye tod kar rishte dilon ke jo kinara kar gaya zo'm tha jis ko 'rishi' husn-e-ada-e-naz par aaina dekha to apni hi nazar se dar gaya