rahegi shor-e-nawai hayat mein kab tak ana ki zo'm-gari baat baat mein kab tak nikal ke dekh hisar-e-had-e-tayyun se yunhi rahega asir apni zat mein kab tak haqiqatan jo na kuchh bhi sunen sunaenge udaenge wo hamein baat baat mein kab tak yaqin na aaega kab tak unhen mohabbat ka rahega rabta na-mumkinat mein kab tak dikhae jaenge manzar hamein qayamat ke khayal-o-khwab yunhi raat raat mein kab tak kahan hai kis ke liye hai khushi bara-e-khushi gham-e-hayat rahega hayat mein kab tak sukun-e-qalb ka pahlu 'rishi' bahar-pahlu nazar na aaega taskhir-e-zat mein kab tak