saghar-e-sifalin ko jam-e-jam banaya hai phail kar mere dil ne main ko ham banaya hai ham-safar banaya hai ham-qadam banaya hai waqt ne mujhe kitna mohtaram banaya hai naz hai khalili ko husn-e-naqsh-e-sani par garche aazari hi ne ye sanam banaya hai be-kasi-e-dil apni dur ki hai yun main ne dusron ke gham ko bhi apna gham banaya hai zindagi ki mausiqi kya hai hum samajhte hain saz ke talawwun ko zer-o-bam banaya hai zulf ki tarah is ko bas sanwarte rahiye zindagi ko fitrat ne kham-ba-kham banaya hai main ne zarre zarre ko muskurahaten di hain tum ne har sitare ko chashm-e-nam banaya hai muddai-e-jiddat hai teri fikr ai zahid! mai-kade ki inton se kyun iram banaya hai but hazaron tode hain kitne tukde jode hain zindagi ne jab ja kar ek sanam banaya hai