ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna udte hi rang-e-rukh mera nazron se tha nihan is murgh-e-par-shikasta ki parwaz dekhna dushnam-e-yar tab-e-hazin par giran nahin ai ham-nafas nazakat-e-awaz dekhna dekh apna haal-e-zar munajjim hua raqib tha sazgar tala-e-na-saz dekhna bad-kaam ka maal bura hai jaza ke din haal-e-siphar-e-tafraqa-andaz dekhna mat rakhiyo gard-e-tarik-e-ushshaq par qadam pamal ho na jae sar-afraaz dekhna meri nigah-e-khira dikhate hain ghair ko be-taqati pe sarzanish-e-naz dekhna tark-e-sanam bhi kam nahin soz-e-jahim se 'momin' gham-e-maal ka aaghaz dekhna