saghar kyun Khaali hai mera ai saqi tere maiKHane mein

saghar kyun khali hai mera ai saqi tere maikhane mein
phir dal de ulfat ki nazren ek bar mere paimane mein

wo ishq nahin hai bul-hawasi jo wasl ki chahat karta hai
baqi hai farasat ab tak bhi itni to tere diwane mein

duniya ki inayat hai utni har gam bichhati hai kante
hum rang-e-hina kaise bharte is ulfat ke afsane mein

kyun khak mein meri wasf nahin jis se mah-o-anjum sharmaen
har aan ulajhta jata hun is gutthi ko suljhane mein

phir raaz-e-khudi eazaz-khudi parwaz-e-khudi us se puchhen
'iqbaal' sa koi farzana mil jae agar anjaane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close