dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe wo lamha bula raha hai phir adh-khula sa koi daricha mere tasawwur pe chha raha hai ye khoya khoya sa chand jaise teri kahani suna raha hai wo raushni ki talab mein gum hai main khushbuon ki talash mein hun main daeron se nikal raha hun wo daeron mein sama raha hai wo kam-sini ki shafiq yaaden gulab ban kar mahak uthi hain udas shab ki khamoshiyon mein ye kaun lori suna raha hai suno samundar ki shokh lahro hawaen thahri hain tum bhi thahro wo dur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai