sah-pahar hi se koi shakl banati hai ye sham khud jo roti hai mujhe bhi to rulati hai ye sham jo bhi diwar uthati hai giraati hai ye sham sham ke waqt bahut dhul udati hai ye sham thahri thahri si thaki-haari musibat mein ghiri aisa lagta hai kahin dur se aati hai ye sham ek be-nam si uljhan ki tarah phirti hai shahr se roz mazafat ko jati hai ye sham ghonsle hain na gharaunde koi kutiya na charagh dekhiye aaj kahan khair manati hai ye sham dusron hi ke hawale se mila karti hai aur dukhda koi rozana sunati hai ye sham is ki palkon pe sitaron ka safar raushan hai ghup andhere mein mujhe rah dikhati hai ye sham