har dar-o-diwar pe larzan koi paikar lage kitni shaklon ka pari-khana hamara ghar lage daudti jaen ragon mein nil-gun khamoshiyan dur tak phaila hua yun dhund ka manzar lage band kamre mein bala-e-jaan hai ehsas-e-sukut aur bahar har taraf aawaz ka patthar lage jaise jaise tutta jae nigahon ka bharam shakhsiyat apni bhi apne-ap ko kam-tar lage kanp jata hai sada-e-dil se sahra-e-sukut aur apne panw ki aahat se bhi ab dar lage ek be-mani tajassus ek be-mani khalish ek shoala sa lapakta jism mein aksar lage