saha umr bhar par jataya nahin tera zakhm hum ne dikhaya nahin azal se khade hain wafaen liye kisi ne hamein aazmaya nahin mila saf-goi ka hum ko sila gale se kisi ne lagaya nahin hamara hi dukh hai uthaenge hum hai ye bojh apna paraya nahin safar zindagi ka raha is tarah kadi dhup thi aur saya nahin jhuka hai to bas bandagi mein teri kahin aur sar ye jhukaya nahin bahut bha rahi hai na ulfat tumhein ye dhoka abhi tum ne khaya nahin yun 'wahid' to itna bura bhi na tha tujhe zindagi ne nibhaya nahin