sahaara maujon ka le le ke baDh raha hun main

sahaara maujon ka le le ke badh raha hun main
safina jis ka hai tufan wo nakhuda hun main

khud apne jalwa-e-hasti ka mubtala hun main
na muddai hun kisi ka na muddaa hun main

kuchh aage aalam-e-hasti se gunjta hun main
ki dil se tute hue saz ki sada hun main

pada hua hun jahan jis tarah pada hun main
jo tere dar se na utthe wo naqsh-e-pa hun main

jahan-e-ishq mein go paikar-e-wafa hun main
teri nigah mein jab kuchh nahin to kya hun main

tajalliyat ki taswir khinch kar dil mein
tasawwuraat ki duniya basa raha hun main

junun-e-ishq ki nairangiyan are tauba
kabhi khuda hun kabhi banda-e-khuda hun main

badalti rahti hai duniya mere khayalon ki
kabhi mila hun kabhi yar se juda hun main

hayat o maut ke jalwe hain meri hasti mein
taghayyuraat-e-do-alam ka aaina hun main

teri ata ke tasadduq tere karam ke nisar
ki ab to apni nazar mein bhi dusra hun main

baqa ki fikr na andesha-e-fana mujh ko
tayyunat ki had se guzar gaya hun main

mujhi ko dekh len ab tere dekhne wale
tu aaina hai mera tera aaina hun main

main mit gaya hun to phir kis ka nam hai 'bedam'
wo mil gae hain to phir kis ko dhundhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close