sahab dilon se rah mein aankhen mila ke dekh rakhta hai tu bhi dil to use aazma ke dekh pahchanne ki pyar ko koshish kabhi to kar khud ko kabhi to apne badan se hata ke dekh ya lazzaton ko zahr samajh aur dur rah ya shoala-e-gunah mein daman jala ke dekh har-chand reg-zar sahi zindagi magar pal-bhar ko apne jism ka jadu jaga ke dekh sae ki tarah sath chalegi koi sada sunsan jangalon mein akele bhi ja ke dekh