khuli aankhon se sapna dekhne mein ganwa di umr rasta dekhne mein baha kar le gai ek mauj-e-dariya bahut the mahw dariya dekhne mein hawa kucha-ba-kucha ro rahi hai saja hai qarya qarya dekhne mein jo barten to khulen sab bhed us ke hasin lagti hai duniya dekhne mein darichon se ye dil-awez manzar bure lagte hain tanha dekhne mein nikal aata hai kadwa zaiqe mein jo phal hota hai mitha dekhne mein haqiqat mein wo aisa to nahin hai nazar aata hai jaisa dekhne mein azab-e-gumrahi mein mubtala hain bhatak jate hain rasta dekhne mein qaza aksar namazen ho gai hain nishan-e-samt-e-qibla dekhne mein hum ehram-e-hawas pahne hue hain labaada hai ye ujla dekhne mein wahin aksar shanawar dubte hain jo hain payab dariya dekhne mein yahi hai laghzish-e-binai 'mohsin' ki ho mashghul duniya dekhne mein