sahar jab bistar-e-rahat se wo rashk-e-qamar uttha ghulami us ki mein khurshid le tegh-o-sipar uttha abhi taskin hui thi ek zara fariyaad-o-zari se laga dil muztarib hone ki phir dard-e-jigar uttha gale par mere khanjar pherta wo aur bhi lekin hui mujh se khata itni ki main fariyaad kar uttha nahin malum ai yaro 'saba' ke dil mein kya aaya abhi jo baithe baithe wo yakayak aah kar uttha