chehron ko be-naqab samajhne laga tha main sab ko khuli kitab samajhne laga tha main jalna hi chahiye tha mujhe aur jal gaya angaron ko gulab samajhne laga tha main ye kya hua ki nind hi aankhon se ud gai kuchh kuchh zaban-e-khwab samajhne laga tha main apni hi raushni se nazar kha gai fareb zarron ko aaftab samajhne laga tha main phir kyun saza-e-tishna-labi di gai mujhe pani ko bhi sharab samajhne laga tha main buniyaad apne ghar ki fazaon mein dal di basti ko zer-e-ab samajhne laga tha main mujh se hi ho gai hai sawal-e-wafa ki bhul duniya ko la-jawab samajhne laga tha main