sahar ka nur mera rang-e-sham hai mera unhin ke husn ka partaw kalam hai mera teri nigah ne jis mein sharab chhalkai kisi ke hath mein bhi ho wo jam hai mera zahe-nasib ki aaj un hasin aankhon mein har ek ashk-e-darakhshan pe nam hai mera mujhe guzishta-o-ainda ka malal ho kyon mizaj-e-gardish-e-dauran ghulam hai mera aziz-e-misr-e-sukhan hun sukhnawaron se kaho sawad-e-shahr-e-ghazal mein qiyam hai mera faza faza meri gard-e-safar udi 'fitrat' ki dast-e-daur-e-hawadis mein jam hai mera