rah-e-gham mein zikr un ka mera khas ham-safar tha gharaz un ke hi karam se safar apna mukhtasar tha ye sarisht thi jabin ki ise tum muaf kar do na khayal-e-dard-e-sar tha na khayal-e-sang-e-dar tha gham-e-dil surur ban kar meri zindagi pe chhaya gham-e-dil ki khush-mazaqi se main kitna ba-khabar tha mere doston ne jaancha hai meri sukhan-wari ko na main sahaib-e-hunar tha na main khadim-e-hunar tha kabhi zulmaton ka shaida kabhi nur ka tha joya kabhi shab-parast tha main kabhi kushta-e-sahar tha nai manzilon ke raste mere paon chhu rahe hain main harif-e-rahguzar hun main harif-e-rahguzar tha badi muddaton mein aa kar ye khula hai mujh pe 'fitrat' ki bayan-e-gham ki khatir main zaban-e-chashm-e-tar tha