sahar ko hasb-e-zarurat wo raat kahte hain

sahar ko hasb-e-zarurat wo raat kahte hain
siyane log hain matlab ki baat kahte hain

bhale hi lakh hawalon ke sath kahte hain
magar wo sirf kitabon ki baat kahte hain

chalo chalo na chalo khud-ba-khud hai kat jata
'ajab safar hai ye jis ko hayat kahte hain

mita wajud hi apna to kya karenge ise
jise ye ahl-e-tasawwuf najat kahte hain

ye be-rukhi se to teri hazar behtar hain
teri jafaon ko hum iltifat kahte hain

tu dekh dekh na dekh ai 'sada' dikhega zarur
wo rasta jise rah-e-siraat kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close