samne jab hai aaina hota

samne jab hai aaina hota
har bura mujh se hai bhala hota

aadmi gar khuda nahin to kya
aadmi mein to hai khuda hota

aap apna sawab hai neki
jurm az-khud hi hai saza hota

kaun kashti dubo sake us ki
nakhuda jis ka hai khuda hota

wo hi mujrim hain wo hi munsif bhi
dekhiye kya hai faisla hota

waqt achchha bura banata hai
kokh se kaun hai bura hota

khud ko hargiz bada nahin kahta
jo haqiqat mein hai bada hota

phunk di ruh rab ne warna 'sada'
tu bhi mitti ka thikra hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close