sahar ne sans li suraj chamakne wala tha diya hawaon ki zad mein tha bujhne wala tha khabar mili ki mere waste tu sahra hai main teri yaad ke dariya mein bahne wala tha darakht ghonsle khane lage parindon ke main dar raha tha shajar pe jo rahne wala tha meri tarah ka koi bhi nahin tha basti mein ba-qaul yaran main jangal mein rahne wala tha shab-e-siyah guzarte hi chand kahne laga agar ye ab bhi na katti main jalne wala tha