tere diwane teri chashm o nazar se pahle dar se guzre teri rahguzar se pahle bazm se dur wo gata raha tanha tanha so gaya saz pe sar rakh ke sahar se pahle is andhere mein ujalon ka guman tak bhi na tha shoala-ru shoala-nawa shola-nazar se pahle kaun jaane ki ho kya rang-e-sahar rang-e-chaman mai-kada raqs mein hai pichhle pahar se pahle nikhat-e-yar se aabaad hai har kunj-e-qafas mil ke aai hai saba us gul-e-tar se pahle