sahib-e-ishq ab itni si to rahat mujhe de ghar bana ya dar-o-diwar se rukhsat mujhe de jaan ye sarkashi-e-jism tere bas ki nahin meri aaghosh mein aa la ye musibat mujhe de to faraham na ho mujh ko ye hai marzi teri tujh ko jab chahun bula lun ye ijazat mujhe de ye teri bazm-e-badan yun to nahin chal sakti ek shab ko hi sahi is ki nizamat mujhe de aaine! main tera aaina-dar-aina hun aaj tak ka mera sarmaya-e-hairat mujhe de na milega tujhe mujh sa bhi tahi-dast murid mere hisse ki jo ho daulat-e-baiat mujhe de jaane kab hoga meri zat pe aap-apna nuzul khwab koi to kabhi meri bashaarat mujhe de mere bhi ek ishaare mein ho mani ka hujum aankh us ki jo kabhi dars-e-balaghat mujhe de 'farhat-ullah' ke khate mein na dal aaine 'farhat-ehsas' hun main la meri surat mujhe de