wo kaun log hain jo mai udhaar lete hain ye mai-farosh to topi utar lete hain ye pas parda-nashinon ka hai ki nale bhi jo unche hote hain parde pukar lete hain wo kahte hain abhi allah itni taqat hai jo karwaten kabhi hum be-qarar lete hain bachaenge gul-o-bulbul ko dam-e-gulchin se jo koi pahunche to fasl-e-bahaar lete hain yahi hain kaam nikalta hai jin ka be-taat maze karam ke tere sharmsar lete hain utarte arsh se darta hai tu dua wale asar ko hath badha kar utar lete hain sharab ke liye mai-nosh munh hain phailae jamhaiyan nahin waqt-e-khumar lete hain gunahgar hain itne hi un buton ke hum ki panch waqt khuda ko pukar lete hain jama ye rang ki ab waqt-e-zamzama-sanji chaman mein mujh ko anadil pukar lete hain piye hon kitni hi lekin ye hosh rahta hai ki sote waqt wo zewar utar lete hain 'riyaz' baaton mein apni agar nahin jadu pari ko shishe mein yunhi utar lete hain