sahib-e-sidq hun main khauf-e-khuda rakhta hun apne honton pe sada haq ki sada rakhta hun aaj-kal jine ka andaz juda rakhta hun apne dushman ke liye lab pe dua rakhta hun band kamre mein koi baith ke kuchh bhi soche main khule dar ki tarah zehn khula rakhta hun mausam-e-gul ki kisi chot ka shikwa kaisa main to patjhad mein bhi har zakhm hara rakhta hun jaane kis haal mein hoga wo mera harjai jeb mein aaj bhi main jis ka pata rakhta hun us ke aane ki abhi aas nahin tuti hai har dariche mein diya jalta hua rakhta hun parsa mujh ko samajhte hain zamane wale aur main pesh-e-nazar apni khata rakhta hun mujh ko kuchh dar nahin is daur ke firaunon ka kyunki musa ki tarah main bhi asa rakhta hun tum mujhe dar pe khincho ya mujhe qatl karo dar-bardar hun main azm naya rakhta hun dosti yun to hai is shahr mein sab se lekin apne dushman ka bhi ai 'shauq' pata rakhta hun