soz-e-mohabbat dard-e-judai tu kya jaane mujhse puchh

soz-e-mohabbat dard-e-judai tu kya jaane mujh se puchh
kis ko kahte hain tanhai tu kya jaane mujh se puchh

patthar aur shishe se be-shak shish-mahal ban sakta hai
ghar kahte hain kis ko bhai tu kya jaane mujh se puchh

dil ki lagi se aur to kuchh hasil na hua is duniya mein
muft mein hath aai ruswai tu kya jaane mujh se puchh

gham se talluq kya hai mera dard se kaisa rishta hai
duniya hi jab samajh na pai tu kya jaane mujh se puchh

jazbon ko tahrik mile to anhoni ho sakti hai
ishq mein hai kitni gahrai tu kya jaane mujh se puchh

jin ki aankh mein phans gadi hai meri aankh ke tinke par
karte hain angusht-numai tu kya jaane mujh se puchh

mahfil mein khamoshi se kyon main ne itna kaam liya
is mein bhi thi kuchh danai tu kya jaane mujh se puchh

tark-e-talluq par aamada karte the haalat bahut
dil ko kyon ye baat na bhai tu kya jaane mujh se puchh

us ka chehra us ki zulfen us ki aankhen us ke hont
is par zalim ki angdai tu kya jaane mujh se puchh

'shauq' na kuchh jine ki khushi hai aur na kuchh marne ka malal
jiwan hai gham ki shahnai tu kya jaane mujh se puchh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close