sahib-e-taj-e-basirat hun main diwana sahi fikr shahana hai andaz faqirana sahi zikr-e-kaba na sahi qissa-e-but-khana sahi husn-e-tafhim salamat koi afsana sahi munakis zehn-o-nazar mein hain khad-o-khal tere tujh ko samjha to bahut hai tujhe dekha na sahi sajda paband-e-tayyun to nahin diwane hai agar bab-e-haram band to but-khana sahi hur-o-kausar ke tasawwur se kahan tak bahlen nar-e-imroz hi de jannat-e-farda na sahi nigah-e-dil ke rawabit se ham-ahang to hai meri duniya teri duniya se judagana sahi munfarid phir bhi hai ai husn haqiqat us ki zindagi ishq ki unwan-e-sad-afsana sahi