teri yaadon ne kabhi chain se jine na diya main ne chaha to mujhe zahr bhi pine na diya yun hi ban ban ke bigadte rahe aain-e-wafa be-sahaaron ko sahaara to kisi ne na diya gham to gham josh-e-masarrat ne badhaya wo junun chaak-e-daman kisi unwan bhi sine na diya zindagi gham se sanwarti hai ye mana lekin manzil-e-gham mein sahaara to kisi ne na diya aaj kyun aa gae tum dard ka darman ban kar jam-e-furqat bhi mujhe chain se pine na diya tere milne ki khushi tere bichhadne ka malal ghamza-e-sham-o-sahar ne hamein jine na diya kis se shikwa karen virani-e-hasti ka 'hayat' hum ne khud apni tamannaon ko jine na diya