sahil se bich samundar gahra pani ghar mitti ghar se bahar gahra pani ye asrar hai zahir us ke hone ka manzar ho ya pas-manzar gahra pani dil ko kya dekhte ho ai dekhne walo bahar khushki aur andar gahra pani dub ke hi main shayad par nikal jaun mera kya mere andar gahra pani waqt kab ek si haalat rahne deta hai ho jata hai ret aksar gahra pani aasman par chand chamakta hai khali niche hai poshida gauhar gahra pani be-payan karta hun 'tur' apne ko main ek khali tasht mein bhar kar gahra pani