us sham wo rukhsat ka saman yaad rahega wo shahr wo kucha wo makan yaad rahega wo tis ki ubhri thi idhar yaad rahegi wo dard ki uttha tha yahan yaad rahega hum shauq ke shole ki lapak bhul bhi jaen wo sham-e-fasurda ka dhuan yaad rahega han bazm-e-shabana mein hama-shauq jo us din hum the teri jaanib nigaran yaad rahega kuchh 'mir' ke abyat the kuchh 'faiz' ke misre ek dard ka tha jin mein bayan yaad rahega aankhon mein sulagti hui wahshat ke jilau mein wo hairat o hasrat ka jahan yaad rahega jaan-bakhsh si us barg-e-gul-e-tar ki tarawat wo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge tu yaad rahega hamein han yaad rahega