sahn-e-chaman mein baad-e-saba mahw-e-raqs hai ya zehn mein khayal tera mahw-e-raqs hai suraj sitare chand zamin aur aasman ye sari kaenat khuda mahw-e-raqs hai har zarra-e-zamin hai kuchh bolta hua lagta hai jaise koi sada mahw-e-raqs hai tera khayal tera tasawwur teri talab har dam labon pe zikr tera mahw-e-raqs hai wo bewafaiyan bhi kare gar to kis tarah wo jis ke ird-gird wafa mahw-e-raqs hai 'zishan' teri fikr mein parwaz kyon na ho ajdad ke sukhan ki faza mahw-e-raqs hai