masruf hue itne is aalam-e-fani mein hum hi na nazar aae khud apni kahani mein gulshan ke nigahbano hum ko na bhula dena kuchh khar bhi lazim hain phulon ki kahani mein ai dida-e-tar tujh ko malum nahin shayad ye jate hain khwab aksar ashkon ki rawani mein ab wo bhi kisi ghar ki diwar ka hissa hain buniyaad ke patthar jo baqi the nishani mein kuchh zehn mein hota hai aata hai zaban par kuchh kah jate hain jaane kya hum yun hi rawani mein kab raat guzarti hai kab din nikal aata hai kuchh hosh nahin rahta 'zishan' jawani mein