sahn-e-ehsas mein ek naqsh nihan tha pahle tu nahin tha tere hone ka guman tha pahle tah-ba-tah chaar su khush-rang sada raushan thi mujh se pahle bhi koi jaise yahan tha pahle wo bhi sahra ki sadaon mein giraftar raha aur mujh mein bhi koi reg-e-rawan tha pahle waqt ne kar diya patthar ki lahad mein tabdil apna chhota sa jo mitti ka makan tha pahle ab to aaina-e-ehsas hai be-aks-e-jamal mujh se chhup kar bhi koi mujh pe ayan tha pahle wo nahin tha to na tha us ki zarurat kya thi apne hone ka bhi ehsas kahan tha pahle roz-o-shab sahte rahe tutte lamhon ka itab koi khanjar sa qarib-e-rag-e-jaan tha pahle aap ki ham-safari ne safar aasan kiya warna har gam yahan koh-e-giran tha pahle khush-bayani ne kisi ki mujhe khush-rang kiya apna kuchh aur hi andaz-e-bayan tha pahle un se milte hi har ek gham se mili 'naz' najat zindagi ka ye hasin chehra kahan tha pahle