koi tara kahin mahtab se milta-julta yahi manzar hai mere khwab se milta-julta ghar muzayyan hai to phir sahn bhi khali kyun ho kyun nahin apne mein ahbab se milta-julta rau main bahta hun to hoti hai ragon mein halchal jaane kya mujh mein hai sailab se milta-julta qatra-e-surkh mein jab khun ki tasir nahin kya hai phir jism mein tezab se milta-julta aasman mujh se chhupata hai koi sachchai ya koi wahm hai is khwab se milta-julta kis haqiqat ko chhupati hain nigahen 'rahat' ret hai ya ki sarab aab se milta-julta