sahn raushan na ek makan raushan chehra chehra udasiyan raushan zehn-dar-zehn wasl-e-be-zari jism-dar-jism sardiyan raushan ganw-dar-ganw tirgi ke padaw shahr-dar-shahr bijliyan raushan bhar safar dhup kufr karti hui na taraf sar pe saeban raushan sochte rah gae nazar wale kar gae yar jism-o-jaan raushan kitne aalam hayat se chhute tab hua ek khak-dan raushan nur ne ghar kiya nigahon mein ho gae sat aasman raushan