sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha par apne jam mein tujh bin lahu tha ghalat tha aap se ghafil guzarna na samjhe hum ki is qalib mein tu tha chaman ki waza ne hum ko kya dagh ki har ghuncha-dil par aarzu tha gulo-aina kya khurshid-o-mah kya jidhar dekha tidhar tera hi ru tha karoge yaad baaten to kahoge ki koi rafta-e-bisyar-go tha jahan par hai fasane se hamare dimagh-e-ishq hum ko bhi kabhu tha magar diwana tha gul bhi kaso ka ki pairahan mein so jaga rafu tha kahin kya baal tere khul gae the ki jhonka baw ka kuchh mushkbu tha na dekha 'mir' aawara ko lekin ghubar ek na-tawan sa ku-ba-ku tha