sair kar andalib ka ahwal hain pareshan chaman mein kuchh par-o-baal tab-e-gham to gai tabib wale phir na aaya kabhu mizaj-e-bahaal sabza-nau-rasta rahguzar ka hun sar uthaya ki ho gaya pamal kyun na dekhun chaman ko hasrat se aashiyan tha mera bhi yan par-sal sard-mehri ki bas-ki gul-ru ne odhi abr-e-bahaar ne bhi shaal hijr ki shab ko yan tain tadpa ki hua subh hote mera visal hum to sah guzre kaj-rawi teri na nibhe par ai falak ye chaal dida-e-tar pe shab rakha tha 'mir' lukka-e-abr hai mera rumal