sahra base hue the hamari nigah mein khema laga na pae hum aab-o-giyah mein sadiyan hamari rah ko roke khadi rahin aur zindagi guzarti rahi sal-o-mah mein bas jate hum kahin bhi samundar ke darmiyan aaya magar na koi jazira hi rah mein ek bar hath lag gae us andhi bhid ke wapas na laut pae hum apni panah mein waqt aur maqam se na kabhi hum guzar sake guzre maqam-o-waqt faqat rasm-o-rah mein kuchh der zer-e-pa jo thaharti koi zamin hum bhi qayam karte kisi jae-gah mein 'betab' pastiyon se nikal hi na pae hum kya kya bulandiyan thin hamari nigah mein