raat ki zulf kahin ta-ba-kamar khul jae hum pe bhi chand sitaron ki dagar khul jae thak gai nind mere khwab ko dhote dhote kya tajjub hai meri aankh agar khul jae mera sarmaya mere paon ke chhaalon ki tapak raste mein hi na sab zad-e-safar khul jae aaj dariya nahin kuze mein samane wala waqt hai mujh pe mera zoam-e-hunar khul jae sab musafir hain nai rah ki sab ko hai talash sab pe mumkin to nahin rah-e-digar khul jae apni tanhai mein mahbus hun muddat se 'nadim' tu agar sath ho diwar mein dar khul jae