sahra ka koi phul moattar to nahin tha tha ek chhalawa koi manzar to nahin tha phir kyun teri taswir dhali ruh mein meri afsun teri aankhon ka musawwar to nahin tha ban kar mera apna wo bana hasrat-e-jawed tha khak ka putla hi muqaddar to nahin tha main bhi teri khalwat ka koi naz churaata aisa koi qismat ka sikandar to nahin tha afsana teri zulf ka ai jaan-e-tamanna main kaise sunata mujhe azbar to nahin tha talkhaba-e-dil tha ki hawadis ka sharar tha fariyaad na karta koi patthar to nahin tha khud aag mein apni hi main jalta raha akasr bargashta main tujh se mere dawar to nahin tha hum ne bhi 'azim' aaj ghazal teri suni hai uslub-e-bayan tera muassar to nahin tha