ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam khub hasil nahin kuchh bhi jo na ho rang-e-qalam khub bazar mein ek chiz nahin kaam ki mere ye shahr meri jeb ka rakhta hai bharam khub manzil to kisi khas ko hi milti hai, warna dekhe to sabhi ne hain mere naqsh-e-qadam khub ye thik hai rishte mein bandha rahta hai ab dil is kabe mein hota tha kabhi jashn-e-sanam khub