sahra ki be-ab zamin par ek chaman tayyar kiya apne lahu se sinch ke hum ne mitti ko gulzar kiya yun hum apne ghar se nikle ghar hum ko takta hi raha hum ne ada bhigi aankhon se qarz-e-dar-o-diwar kiya kitni aankhen shauq-e-sarapa kitne chehre harf-e-sawal jaane phir kya soch ke hum ne khud ko tera bimar kiya tum na kaho tarikh kahegi hum hain kis mear ke log patthar khae phul tarashe rahon ko hamwar kiya shoale lapke jab bhi hum ko barkha-rut ki yaad aai aankhen barsin jab bhi hum ne zikr-e-lab-o-rukhsar kiya ek hi rukh tak apna mizaj-e-zauq-e-wafa mahdud nahin rang diya mai-khane ko bhi maqtal se bhi pyar kiya rasm-e-mohabbat 'shair' hum ko chalti hui talwar bani jis ko banaya hum ne apna us ne hamin par war kiya