un ka gham bhi na raha pas to phir kya hoga lut gai daulat-e-ehsas to phir kya hoga kaun ta-subh jalaega tamanna ke charagh sham se tut gai aas to phir kya hoga jin ki duri mein wo lazzat hai ki betab hai dil aa gae wo jo kahin pas to phir kya hoga tum se zinda hai tamanna-e-mazaq-e-ehsas tum hue dushman-e-ehsas to phir kya hoga dil gham-e-dost pe maghrur bahut hai lekin gham bhi aaya na agar ras to phir kya hoga apni makhmur nigahon ko na do izn-e-khiram badh gai aur agar pyas to phir kya hoga hum pareshan the pareshan hain pareshan honge tum ko aai na khushi ras to phir kya hoga azmat-e-ishq hai khuddari-e-dil tak 'shaer' bujh gaya shoala-e-ehsas to phir kya hoga