sahra ko dekhta hun kabhi apne ghar ko main mushkil ye aa padi hai ki jaun kidhar ko main badle dil-o-nigah to har shai badal gai hairat se dekhta hun tere baam-o-dar ko main ghairon ka jam bharte ho aankhen bacha ke kyon pahchanta hun khub tumhaari nazar ko main ab kaisa gham ki ho chuka idrak-e-zindagi muddat hui ki bhul gaya chaaragar ko main yun laghzish-e-qadam ke bahane hazar the ilzam de raha hun khud apni nazar ko main pahchanta nahin hun nuqush-e-qadam abhi har roz dekhta hun teri rahguzar ko main 'ahmad' khizan ke daur mein khilta hai gul kahin laun kahan se dhund kar ahl-e-nazar ko main