tujhse ai dost ab gila hi nahin

tujh se ai dost ab gila hi nahin
teri fitrat mein to wafa hi nahin

rah mein dil pada hai ya patthar
koi ruk kar ye dekhta hi nahin

hae ahl-e-khirad ki kam-nazari
dil ka ab koi tazkira hi nahin

aaine ki tarah ho dil jis ka
koi aisa mujhe mila hi nahin

apne sae se log darte hain
raaz-e-dil koi kholta hi nahin

kis ko saughat-e-agahi den hum
koi basti mein ham-nawa hi nahin

zakhm kya mundamil hue dil ke
zindagi mein koi maza hi nahin

shama kah kar ye bujh gai kal raat
dard-e-dil ki koi dawa hi nahin

aql-o-dil mein na kijiye tafriq
is se badh kar koi khata hi nahin

kyon daraati hai gardish-e-ayyam
dil mein ab koi muddaa hi nahin

hai gila apni kam-sawadi se
zindagi se koi gila hi nahin

log kashkol le ke phirte hain
hath ab tak mera utha hi nahin

roz padhta hun ghaur se chehre
shahr mein koi aashna hi nahin

kyon dikhata hai aaina sab ko
koi 'ahmad' se bolta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close