sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin

sahra mein hun junun ke bhi aasar hi nahin
sar phodne ke waste diwar hi nahin

jis ki dawa-e-dil ki zarurat ke waste
hum chaaragar hue to wo bimar hi nahin

apne watan ki khak liye phir raha hun main
us ki wafaon se mujhe inkar hi nahin

taqdir ke hain khel jawan ishq jab hua
tab khelne ke waste manjhdar hi nahin

hum rah-naward-e-shauq ko sahra hi thik hai
kya lutf mai-kade mein agar yar hi nahin

sad iftikhar ghairon ko didar-e-am hai
sad-haif hum ko dawat-e-didar hi nahin

be-bas hi kar diya hai iradon ne ai 'suhail'
qismat ne kar diya mujhe la-chaar hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close