mere madd-e-muqabil tir KHanjar aur bhaale hain

mere madd-e-muqabil tir khanjar aur bhaale hain
magar aise kai bhaale mere dil ne sambhaale hain

muqayyad daera-dar-daera hai zindagi meri
mere har chand ke chaaron taraf tarik haale hain

kate ki zindagi kaise musalsal jabr mein rah kar
safar sahra ka hai aur panw mein chhaale hi chhaale hain

bhula sakta hun kaise war jo sine pe khae hain
ki us ke zakhm bhi aulad ki manind pale hain

haqiqat to ye hai har ahd ke kirdar yaksan hain
wahi suqraat hai aur zahr se labrez pyale hain

mere ghar mein hai kya rakkha teri khidmat-guzari ko
ki mere pas to mehman-e-jaan gham ke niwale hain

badhun aage ki pichhe laut jaun ai 'suhail'-amjad
mere pichhe hain gahri khaiyan aage himale hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close